YouTube Channel

 Log hmesha yahi sochty or kehty hain ky hamara channel kab monetize hoga or kuch log ye kehty hain ky hm kis topic pe channel bnaein❓


Aj me apky sath kuch cheezein share krn ga umeed karta hn apko faida hoga ❤🔥🙂


 ðŸ”¸ 01) Channel Ko Create karny se pehly Hm suppose krty hain ky hmara channel ( cooking ) se related hoga..

👉 ( channel topic - cooking )


🔸 02) Ab hmein channel ka name sochna ha ky kis name se channe hoga❓


Hmny cooking search kiya youtube pe or hmein kafi sary channel mill gae, un channels se hmein kafi sary names mill gae, hmny sb me se achy name ko choose karky or kuch apny se word add krky ik acha sa name rakh liya apny channel ka..


👉 ( channel name - yourname cooking channel & useful tricks )


👉 ( channel name - yourname food secrets )


🔸 03) Topic or Channel name find krny ky baad ab hmein ye daikhna ha jo hmny channel name socha ha kiya wo pehly se YouTube pe ha ya nhi ha❓


Hm youtube ky search engine me search krein gy jo name hmny socha ha jese ( Rabia Food Secrets ), or sath me filter pe jaky channel ko select krein gy, hmary pass kafi channels ajaein gy..


Ab hmein agr ( Rabia Food Secrets ) se related 3 se 4 channels milty hain or un channels pe 200 subscribers hain or kuch pe 400 or 100, ab in channels pe kese rank kiya jae❓ In channels pe ik new channel ky liye first pe rank hona mushkil hoga but hm inko bhe derank kar skty hain agr hmary pass kuch subscribers ajaein or videos upload hoti rahien hmary channel pe..


Agr ( Rabia Food Secrets ) is name pe koi channel nhi milta then ham is pe easily rank ho jaein gy...


🔸 04) Topic, Channel Name select karny ky baad ab ham apny channel ki kuch settings kr lety hain jese logo, cover etc


Or apni videos ko upload karny se pehly uski description bna ky save kr lein gy or description me apny social accounts ky links add kr dein gy..


🔸 05) Youtube ki videos jis topic pe banaein gy us me subscribe notification bhe add kr dein gy taky visitors ko yad dilaya jae ky channel ko subscribe bhe karna ha..


🔸 06) YouTube ki video bnany ky baad isko upload karny se pehly ham video ki seo krein gy taky video youtube ky search results me rank ho jae show ho jae...


🔹SEO types:


👉 ON PAGE SEO

👉 OFF PAGE SEO


Mostly ham ON PAGE SEO karty hain youtube ky liye..


🔹ON PAGE SEO:


Jo activity ham channel pe karty hain uski videos ko rank krwany ky liye usy on page seo kehty hain..


ON PAGE SEO ko ham white hat seo bhe kehty hain Q ky is me sab kam ham khud se krty hain..


ON PAGE SEO krny ky liye hmein keywords ko research or analysis karna prta ha kuch websites pe jaky..


SEO Tools:


🔹 Ahref.

🔹 Semrush.

🔹 Moz.

🔹 Google Keyword Planner.

🔹 Neil Patel Ubbersuggest etc.


Ab ham in me se kisi site me jaky keywords ko research karein gy jinka search volume acha ho or wo low competition waly keywords hn taky hm rank ho sakein..


Ham keywords ko kuch jagah pe add krty hain apni videos me 👇👇👇


🔹 Title ( Is me 3no competition waly keywords add kr dein jese low, medium, high competition )...


🔹 Description...


🔹 Tags ( Tags me bhe keywords ko add kr dein or baki tags ap YouTube search engine se ly skty hain or kuch tags ap or channels ky copy karky add kr skty hain, isky liye apko VidIQ or TubeBuddy extensions ko install krna prta ha taky or channels ky tags apko show ho jaein )..


🔹 Thumbnail Image ( Iski optimization krein, is me bhe keywords ko add kr dein jo ap find karty hain )..


🔸 07) Ab Ap apny channel or channel ki videos ko social media jese facebook groups me bhe share kar skty hain..


🔸 08) Ab baat aati ha ky subscribers or views kese hasil krein❓


👉 Kuch log subscribers or watch time exchange waly groups join karty hain or isi tarhan se kam krty hain..


👉 Kuch log subscribers or watch time ko khareed lety hain...


👉 Kuch log 10 or 20 browsers ki madad se VPN lga ky apna watch time khud se pora karty hain..


👉 Suppose apko html aati ha ap facebook groups me jaky post krein jisko seekhna ha me free sikhao ga/gi then ap sbko whatsapp pe ly jaein or sabki help krein or apny channels ko subscribe krwaein or unko parhaein or usi se related lectures ko channel pe upload krky unko links share kr dein..


🔸 09) Jese apka channel monetize or google AdSense se approve ho jae ga then apki videos pe google ki taraf se ads chalny lag jaein gi..


Agr apny apni video ko promote karna ha then ap google ads ki madad se apni videos ko promote krty hain is me paisa lgta ha..


Google ads expensive hoti hain social media ads ky muqably me...


🔸 10) Apna content bnaein or is pe kam krein inshallah apka channel monetize ho jae ga..


# YouTubeChannel🙂❤🔥

Previous Post Next Post