🔰🔰 SEO ( Search Engine Optimization )
⚛ ON Page SEO
⚛ OFF Page SEO
⚛ Technical SEO
⚛ Black Hat SEO
⚛ White Hat SEO
⚛ Grey Hat SEO
🔶 01) ON Page SEO: Is Me ham page pe he SEO karty hain..
Ham keywords ko find karty hain kuch websites se:
◾ Ahref
◾ Moz
◾ Majestic
◾ Semrush
◾ Google keyword Planner
◾ Keyword io
◾ Neil Patel Ubbersuggest
Ham keywords ko research karky analysis krty hain ky knsa keyword kb rank ho skta ha mean knsa keyword low competition wala ha or knsa medium or high competition wala keyword..
Ham keywords ko find karky apny page pe different places pe add krty hain:
◾ Title
◾ Description
◾ URL
◾ Image
Isi se hamara page rank hony ky kabil ho jata ha isi ko ON Page SEO kehty hain..
🔶 02) OFF Page SEO: Is me ham page se bahir SEO karty hain ranking ky jese backlinks, guest posting etc..
🔶 03) Technical SEO: Is me ham website ki SEO karty hain..
🔶 04) Black Hat SEO: Is me ham kuch tools ka use karty hain or google ko pagal banaty hain khud ko google pe rank krwany ky liye..
Ham black hat seo karky easily rank ho jaty hain but agr hmari site google ny pkr li tb hamari site derank bhe ho skti ha or site urr bhe skti ha..
Black Hat SEO krna matlb google ko dhoka dena ha or ye chori tarika ha jis me ranking too mill jati ha but pakry gae too nuqsan hota ha hmari site ko..
🔶 05) White Hat SEO: Is me ham sb kam khud se karty hain jese keywords ko find krna etc
White hat seo me ham google ky sath mill kar kam krty hain or google bhe khush hota ha..
🔶 06) Grey Hat SEO: Is me ham 80% to 90% white hat seo or 10% to 20% black hat seo ka use karty hain..
Isi ko grey hat seo kehty hain...
#SEO 🙂🔥❤