🆓🆕 ( Amazon )
◾ PL ( Private Label )
◾ FBA
◾ Drop Shipping
◾ Affiliate Marketing
◾ VA ( Virtual Assistant )
◾ Amazon Tools
◾ Product Hunting
◾ Product Listing
◾ Pricing
◾ Order Tracking
◾ SKU
◾ ASIN
🔶 PL ( Private Label )
◾ Is me hm products ly kar amazon ky wherehouse rakh dety hain..
◾ Is me amazon khud se sb kuch deal karta ha..
◾ Bs hmein is me investment chahiye hoti ha...
◾ Is me hmein store ki need nhi hoti bs investment chahiye hoti ha baki kam amazon karta ha..
🔶 FBA
◾ Is me hm products ly kar amazon ky wherehouse rakh dety hain but is case me hm dealing khud se krty hain or listing bhe..
🔶 Drop Shipping
◾ Is me hm product ko kahein se bhe hunt karky kisi or jagah pe sale kr skty hain..
◾ Ham amazon se 5$ ki product lety hain or woi product ham ebay pe 10$ ki sale kr dety hain ya ham woi product amazon pe bhe sale kr sakty hain dosry pages pe..
◾ Agr ham dropshipping karty hain usky liye hmein amazon tool or seller center ka account lena prta ha or is me bhe investment krni prti ha..
◾ Amazon tool se product ko hunt krty hain or seller center me product ko list karty hain..
◾ Drop Shipping ky liye apky pass store hona zarori ha...
🔶 Affiliate Marketing
◾ Ham Amazon affiliate program ko join karty hain or apna blog bna ky amazon ki products ko add krty hain unky affiliate links ko..
◾ Ham apny blog ki marketing karty hain jb koi hamary blog pe aata hoa amazon se product purchase krta ha hmary blog ky affiliate link se then hmein commission milta ha..
🔶 VA ( Virtual Assistant )
◾ VA wo hoty hain jo clients ky store ko manage karty hain..
◾ Pakistan me beith ky ham USA ky client ky store ko manage kr sakty hain as a VA..
🔶 Amazon Tools
◾ Amazon ky kafi sary tools hoty hain jin ko ham product ko hunt karny ky liye use krty hain..
1⃣ Keepa
2⃣ Helium 10
3⃣ Jungle Scount
4⃣ Business Prime
🔶 Product Hunting
◾ Ham amazon ky kisi tool ka use karty hoe product ko hunt krty hain hmein is me wholesalers or retailers mill jaty hain mtlb hmein product profitable margin me mill jati ha..
◾ Hunt mean find karna search krna is me ham profitable margin wali product ko find krty hain taky hmein profit mill saky us product pe..
🔶 Product Listing
◾ Iska mtlb yahi ha ky product ko hunt karky ham usko list krty hain add krty hain isky liye hmary pass seller center ka account hona chahiye..
🔶 Pricing
◾ Hamny list kr diya kisi bhe product ko but hmari product 20$ ki ha or agr jahan ham is product ko sale kr rhy hain us page pe hmara competitor aaky woi same product 19$ me sale krta ha then hamein pta hona chahiye then ham usi product ko 18$ me set kar dety hain..
◾ Ham product ko check karty rehty hain uski pricing ko ky koi competitor usi page pe same product sale krky hmein beat too nhi kr rha then ham uski pricing set kr dety hain usko update kr dety hain..
🔶 Order Tracking
◾ Order ko track kiya jata ha ky order pohncha ky nhi uski ik tracking ID bhe hoti ha jis se check kiya jata ha...
🔶 SKU ( Stock Keeping Unit )
◾ SKU us page ka code hota ha jahan se ham product ko purchase krty hain...
🔶 ASIN
◾ ASIN us page ka code hota ha jahan ham product ko sale krty hain...
#Amazon 💙💚❤💛💜